Wo humsafar tha magar us se hum-nawaai na thi
Ke dhoop chhaaon ka aalam raha, judaai na thi

MuhabbatoN ka safar is tarah bhi guzraa tha
Shikasta dil the musaafir, shikasta-paayi na thi

Adavatein thiN, taghaful tha, ranjisheiN thiN bahut
BichhaRne wale mein sab kuchh tha be-wafaai na thi

BichhaRte waqt un aNkhoN mein thi hamari Ghazal
Ghazal bhi woh, jo kisi ko abhi sunaai na thi

Kise pukaar raha tha woh doobta hua din
Sadaa to aayi thi lekin koi duhaai na thi

Ajeeb hoti hai raah E sukhan bhi, dekh ‘Naseer’
WahaaN bhi aagaye aakhir, jahaaN rasaai na thi

(Naseer Turrabi)